shabd-logo

PCOS Kya hai ? What is PCOS?

29 दिसम्बर 2020

480 बार देखा गया 480
featured image

Kya apko achanak motaape, chehre par baal ya pimples aur acne hone ya phir hair fall ki shikayat ho rahi hai? ise halke me na le , ye PCOS ya PCOD yani polycystic ovary syndrome naam ki bimari ho sakti hai.


polycystic ovary syndrome yani PCOS Females ki ovary se judi ek bimari hai. jo aaj kal ki lifestyle ki wajah se females me tezi se phail rahi hai. is bimari me female ki ovaries me kai sari choti choti cyst yani gathe ban jati hai. aur unki body me hormones level bigad jata hai. research ke mutabik 12 se 51 saal ki lagbhag 20 -25 % indian females is bimari se pareshan hai. inme se 60 % females motape se aur 35 -50 % females me fatti liver ki bimari hai. khas baat ye hai ki duniyabhar me pai jane wali is bimari ka koi ek reason nahi hai. lekin doctors ka manna hai ki genetic roop se ya zarurat se zyada insuline is bimari ki main wajah ho sakte hai. aise me aage chalkar kai aur bimariya bhi ho sakti hai. khaskar agar ise shuruwat me hi controle me na kiya jae . treatment ke sath lifestyle me change jaise ki diet me badlao, exercise, aur weight controle karke is bimari ko controle kiya ja sakta hai. pcos infertility ki ek badi wajah hai.


Kya hai PCOS ki pahchaan ?


Gynecologist ke according zyadatar females ko pcos hone ka pata tab lagta hai jab unki period cycle bahot zyada irregular ho jati hai. ya phir periods ana bilkul hi band ho jati hai. iske alawa motapa bhi ek warning hai. sath hi body par , khaskar face par balo ka ugna, acne hona, hair fall ya balo ka patla hona bhi is bimari ki pahchan hai. isme females me stress , lack of confidence aur tension bhi hone lagti hai.


PCOS se bachne ke lie hme kaisi diet leni chahiye ?


kisi bhi healthy diet ke sath aap ke diet me fruits, vegetables, whole grain, protien aur healthy fat zarur hona chahiye. iske alawa apne khane ko natural aur unprocessed roop me lene ki koshish kare.


और पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करे pcos को कंट्रोल करने के लिए करे एक्सरसाइज

हेल्थ एंड ब्यूटी की अन्य किताबें

1

UNEVEN SKIN TONE YANI PIGMENTATION SE HAI PARESHAN ?

28 दिसम्बर 2020
0
0
0

khoobsurat , bedaag aur saman rangat wali skin ki khwahish har kisi ko hoti hai. par bahot kam logo ki ye khwahish puri ho pati hai. uneven skin tone Ya pigmentation ki problem bahot normal hai. aiye jante hai iske kuch aasan se tips – har koi chahta hai ,khoobsurat, mulayam , chamakdaar aur ek jai

2

PCOS Kya hai ? What is PCOS?

29 दिसम्बर 2020
0
0
0

Kya apko achanak motaape, chehre par baal ya pimples aur acne hone ya phir hair fall ki shikayat ho rahi hai? ise halke me na le , ye PCOS ya PCOD yani polycystic ovary syndrome naam ki bimari ho sakti hai.polycystic ovary syndrome yani PCOS Females ki ovary se judi e

3

कीटो डाइट

30 दिसम्बर 2020
0
0
0

Keto diet kya weight loss karne ka sahi tareeka hai ? Dietician mante hai ki isme kai khamiya hai. shuruwat me hi dietician ki salah lena behad zaruri hai .weight kam karne ke lie aksar log koshishe karte hai aur uske lie alag alag diet plan banate hai. aajkal ketogen

4

एयर पोल्युशन में एक्सरसाइज

10 फरवरी 2021
0
0
0

सुबह – शाम सैर करने आप ये सोच कर घर से बाहर निकलते होंगे की नेचर की शुद्ध हवा में आपकी सेहत अच्छी होगी. लेकिन अगर बाहर की हवा ही प्रदूषित हो तोह आप क्या करेंगे ?आसमान में निकलता हुआ सुबह का सूरज और सर्दियों की हलकी धूप की किरणे , हमें व

---

किताब पढ़िए

लेख पढ़िए